اردو हिंदी
Ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai | Shaahi Shayari
ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai

Ghazal

Ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai

Zubair Shifai

;

ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai
ek chauthai zamin par aasman chaaron taraf hai

dauDte hain raat-din tin aankh barah hath wale
sard sannaTe mein aawaz-e-sagan chaaron taraf hai

launcher rocket Clashnikof barudi surangen
KHun ka dariya pahaDon mein rawan chaaron taraf hai

jism hai to sar nahin sar hai to dast-o-pa nahin
arz-e-pur-asrar mein hu ka saman chaaron taraf hai

surmai kohsar ki choTi pe barfani parinda
bas ki gul ki chah mein gasht-e-KHizan chaaron taraf hai

ishaare se alamat tak zaban KHamosh meri
kal 'zubair' apna tha aaj us ka ziyan chaaron taraf hai