ghar mujhe raat bhar Darae gaya
main diya ban ke jhilmilae gaya
kal kisi ajnabi ka husn mujhe
yaad aaya to yaad aae gaya
koi ghael zamin ki aankhon mein
nind ki konplen bichhae gaya
safar-e-ishq mein badan us ka
dur se raushni dikhae gaya
apni lahron mein ranj ka mausam
aansuon ke kanwal khilae gaya
shahr ka ek barg-e-awara
dasht-o-dar ki hansi uDae gaya
aur mera tin sal ka bachcha
is himaqat pe muskurae gaya
mujh mein kya baat thi rais-farogh
wo sajan kyun mujhe rijhae gaya
Ghazal
Ghar mujhe raat bhar Darae gaya
Rais Farogh