ghar mein rahte hue Dar lagta hai
ab bayaban hi ghar lagta hai
panw rakhta hun to dhansti hai zamin
sar uThata hun to sar lagta hai
qatl-o-ghaarat hai gali kuchon mein
shahr-e-dahshat ka nagar lagta hai
Dagmagati hai dhamakon se zamin
aasman zer-o-zabar lagta hai
zindagi yun to guzar jaegi
kitna mushkil ye safar lagta hai
ghair to ghair hamein aaj ke din
apne ham-sae se Dar lagta hai
Ghazal
Ghar mein rahte hue Dar lagta hai
B S Jain Jauhar