اردو हिंदी
Ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah | Shaahi Shayari
ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah

Ghazal

Ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah

Kavish Badri

;

ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah
phirti hai ruh shahr mein obash ki tarah

bazicha-e-faraina-e-misr dekhna
hum aahani giraft mein hain tash ki tarah

ye jaan-e-na-tawan bhi hai kya samra-e-hayat
rakh di gai hai kaT ke ek qash ki tarah

sukh ki zamin basit nahin hai to kya hua
dukh to mera wishaal hai aakash ki tarah

shayad mera wajud hi pasmanda KHak ho
KHali hai bazm-e-yar mein qallash ki tarah

khinchta chala hun main kisi patal ki taraf
har anjuman hai markaz-e-purKHash ki tarah

sau bar masKH ho ke bhi tamir-e-zindagi
pur-nur hai manara-e-zau-pash ki tarah

baqi hai hum se daman-e-roz-e-jaza ki laj
go zindagi ata hui padash ki tarah