ghar mein baiThe socha karte hum se baDh kar kaun dukhi hai
ek din ghar ki chhat pe chaDhe to dekha ghar ghar aag lagi hai
jaane hum pe kya kya biti tan ka lahu sab sarf hua
ruKH ki zardi bhi hai ghanimat ab to apni yahi punji hai
apne-ap ko samjhate hain raat Dhali ab tu bhi so ja
hum hi akele kaise soen dil ki dhaDkan jag rahi hai
har dam fikr ke moti rolen par do miThe bol na bolen
bhed yahan ke kis pe kholen duniya hi kangal hui hai
sayyad-nagri nai-nirali bhor-phaTe sab raddi wale
roz pukaren raddi becho aaKHir kitni raddi hai
Ghazal
Ghar mein baiThe socha karte humse baDh kar kaun dukhi hai
Khalilur Rahman Azmi