ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
aur jo ham-sae hain aawaz mein mar jate hain
kabk o taus ko chalta hai tu Thahra ke to hum
teri raftar ke andaz mein mar jate hain
muzhda ai yas ki yan kunj-e-qafas ke qaidi
yak-ba-yak mausam-e-parwaz mein mar jate hain
hain tere ramz-e-tabassum ke ada-fahm jo shaKHs
jumbish-e-lal-e-fusun-saz mein mar jate hain
lab hilane nahin pata wo ki hum nadida
bas wahin baat ke aaghaz mein mar jate hain
tausan-e-naz ko phenke hai wo jis dam sarpaT
log kya kya na tag-o-taz mein mar jate hain
'mushafi' dasht-e-bala ka safar aasan hai kya
saikaDon basra o shiraaz mein mar jate hain
Ghazal
Ghar mein bashinde to ek naz mein mar jate hain
Mushafi Ghulam Hamdani

