ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
kanTon pe chale lekin hone na diya zahir
talwon ka lahu dhoya chhup chhup ke akele mein
ai dawar-e-mahshar le dekh aae teri duniya
hum KHud ko bhi kho baiThe wo bhiD thi mele mein
KHushbu ki tijarat ne diwar khaDi kar di
aangan ki chameli mein bazar ke bele mein
Ghazal
Ghar lauT ke roenge man bap akele mein
Qaisar-ul-Jafri