ghar ko kaisa bhi tum saja rakhna
kahin gham ka bhi daKHila rakhna
gar kisi ko samajhna apna tum
dhoka khane ka hausla rakhna
itni qurbat kisi se mat rakkho
kuchh zaruri hai fasla rakhna
in ki har baat miThi hoti hai
jhuTi baaton ka mat gila rakhna
zindagi ek bar milti hai
us ko jine ka hausla rakhna
na-umidi ko kufr kahte hain
rab se ummid 'asifa' rakhna
Ghazal
Ghar ko kaisa bhi tum saja rakhna
Asifa Zamani