اردو हिंदी
Ghar ko jaane ka rasta nahin tha | Shaahi Shayari
ghar ko jaane ka rasta nahin tha

Ghazal

Ghar ko jaane ka rasta nahin tha

Iliyas Babar Aawan

;

ghar ko jaane ka rasta nahin tha
warna karne ko kya se kya nahin tha

mujhe kahta tha chhoD de mujh ko
aur mera hath chhoDta nahin tha

kaam sare durust the mere
jab mujhe koi Tokta nahin tha

log aaankhon se aate jate the
harf jab rasta bana nahin tha

tab kahin log jaante the mujhe
jab mujhe koi jaanta nahin tha