ghar ko ab dasht-e-karbala likkhun
aaj KHud apna marsiya likkhun
sada kaghaz pe KHun ke aansu
ab use KHat mein aur kya likkhun
barg-e-gul par saba ke daman par
nam tera hi ja-ba-ja likkhun
zikr aae jo teri manzil ka
chand-suraj ko naqsh-e-pa likkhun
ho tera hi jamal pesh-e-nazar
jab qalam se KHuda KHuda likkhun
main to zinda hun mar chuka hai wo
apne qatil ka marsiya likhun
ai 'sarosh' apni zindagi ko main
kaun se jurm ki saza likkhun

Ghazal
Ghar ko ab dasht-e-karbala likkhun
Rifat Sarosh