ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jata
hum se chup rah ke tamasha nahin dekha jata
teri azmat hai tu chahe to samundar de de
mangne wale ka kasa nahin dekha jata
jab se sahra ka safar kaT ke ghar lauTa hun
tab se koi bhi ho pyasa nahin dekha jata
ye ibaadat hai ibaadat mein siyasat kaisi
is mein kaba ya kalisa nahin dekha jata
mere lahje pe na ja qaul ka mafhum samajh
baat sachchi ho to lahja nahin dekha jata
aks ubhrega 'nafas' gard haTa de pahle
dhundhle aaine mein chehra nahin dekha jata
Ghazal
Ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jata
Nafas Ambalvi