ghar ki jab yaad sada de to palaT kar aa jaen
kash hum apni hi KHwahish ko mayassar aa jaen
hai karamat mere dil ki tere nawak mein nahin
war ho ek magar zaKHm bahattar aa jaen
guftugu aaj to do Tok karega suraj
zill-e-subhani shabistan se bahar aa jaen
shab ko yalghaar-e-tafakkur se jo bach niklun main
subh-dam taza KHayalat ke lashkar aa jaen
itni saffak samaat bhi ghazab hai ki jahan
baat puri bhi na ho hathon mein patthar aa jaen
Ghazal
Ghar ki jab yaad sada de to palaT kar aa jaen
Pirzada Qasim

