ghar ki had mein sahra hai
aage dariya bahta hai
hairat tak mafqud hui
itna dekha-bhaala hai
jaane kya uftad paDe
KHwab mein us ko dekha hai
aahaT kaisi basti mein
kaun ye rasta bhula hai
raste apne apne hain
kaun kisi ko samjha hai
qaid se wahshi chhuT gae
dekhen kya gul khilta hai
uDne wala panchhi kyun
pankh sameTe baiTha hai
Ghazal
Ghar ki had mein sahra hai
Aashufta Changezi