ghar ki diwaron ko hum ne aur uncha kar liya
shor-e-sad-e-mahshar suna aur KHud ko bahra kar liya
band nafe ki tarah rahte hain apne aap mein
apni KHushbu se moattar dil ka sahra kar liya
dard mahjuri ka aaina hai apne ru-ba-ru
jab nazar aaya na to apna tamasha kar liya
dar pe har ummid ke phaila diya daman-e-dil
kaj-kulah-e-zindagi ne KHud ko ruswa kar liya
hum samajhte hain tere malbus ki tauqir ko
dagh-e-uryani nazar aaya to parda kar liya
jab koi surat nazar aai na hansne ki 'nadim'
gham ki har taswir ko aankhon mein yakja kar liya

Ghazal
Ghar ki diwaron ko humne aur uncha kar liya
Salahuddin Nadeem