ghar ke darwaze khule hon chor ka khaTka na ho
be-sar-o-saman koi shahr mein aisa na ho
tirgi ke ghaar se bahar nikal kar bhi to dekh
us zamin ki kokh se suraj koi nikla na ho
main ki goya bhi na ho paya kisi diwar se
rah gaya chup soch kar shayad koi sunta na ho
dasht mein jaane se pahle apne dil mein jhank lo
KHub-surat jism ke andar koi koi sahra na ho
ehtiyatan dekh hi lo dam-ba-KHud kyun rah gae
tum jise diwar samjhe ho wo darwaza na ho
main ki duniya ki har ek shai mein hua hun aashkar
dekh tere aaine mein bhi mera chehra na ho
moD hain har har qadam par kis se puchhen rasta
phir raha hun shahr mein jaise koi diwana ho
ye akela-pan to 'shahid' shahr ka aashob hai
ya koi tanha na ho ya har jagah virana ho
Ghazal
Ghar ke darwaze khule hon chor ka khaTka na ho
Saleem Shahid