ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai
aur kisi ka rasta dekha ja sakta hai
raat guzari ja sakti hai tare gin kar
din mein chadar tan ke soya ja sakta hai
shikwe dur kiye ja sakte hain yaron se
is sunday ko phone ghumaya ja sakta hai
us ke jaisa hi ab kuchh hasil hai mujh ko
ab us ki KHwahish ko chhoDa ja sakta hai
waise paisa hi sab kuchh hai is duniya mein
lekin paise par bhi thuka ja sakta hai
wada karne mein kaisi ghabrahaT pyare
wade se ek pal mein palTa ja sakta hai
mere an-dekhi karne ka hai kya karan
kam se kam us se puchha ja sakta hai
main apne chehre se thoDa ub gaya hun
kya apna chehra bhi badla ja sakta hai
sher kahe ja sakte hain paripaTi wale
aur zaminon par bhi socha ja sakta hai
dhire dhire zalim ki jaD khodo 'saurabh'
rassi se chaTTan ko kaTa ja sakta hai
Ghazal
Ghar ke bahar bhi to jhanka ja sakta hai
Saurabh Shekhar