ghar ke andar bholi-bhaali suraten achchhi lagin
muskuraati gul khilati raunaqen achchhi lagin
jab sisakti rengti si zindagi dekhi kahin
phir KHuda ki di hui sab nematen achchhi lagin
ek dil se dusre dil tak safar karte rahe
rahguzar-e-shauq mein ye hijraten achchhi lagin
dhup ke lambe safar se lauT ke aae jo ghar
band kamre mein sukun ki saaten achchhi lagin
dil ki duniya hasraton ke dam se hi aabaad hai
gahe gahe hum ko apni hasraten achchhi lagin
jin gharon mein azmat-e-rafta ke raushan the charagh
un ke baam-o-dar hamein un ki chhaten achchhi lagin
aib apne chehre ka kis ko nazar aaya 'obaid'
aaine mein sab ko apni suraten achchhi lagin
Ghazal
Ghar ke andar bholi-bhaali suraten achchhi lagin
Obaidur Rahman