ghar ka rasta bhi mila tha shayad
rah mein sang-e-wafa tha shayad
is qadar tez hawa ke jhonke
shaKH par phul khila tha shayad
jis ki baaton ke fasane likkhe
us ne to kuchh na kaha tha shayad
log be-mehr na hote honge
wahm sa dil ko hua tha shayad
tujh ko bhule to dua tak bhule
aur wahi waqt-e-dua tha shayad
KHun-e-dil mein to Duboya tha qalam
aur phir kuchh na likha tha shayad
dil ka jo rang hai ye rang 'ada'
pahle aankhon mein racha tha shayad
Ghazal
Ghar ka rasta bhi mila tha shayad
Ada Jafri