ghar ho ya bahar wahi kaDwi kasili guftugu
kab talak sunte rahen hum ek jaisi guftugu
chand lamhon mein bhaTak jae jo mauzuat se
be-sabab wo kyun kiya karta hai ilmi guftugu
us ke lahje mein to halki si nadamat bhi nahin
ek taraf hum bhul jaen pichhli sari guftugu
pal mein ratti pal mein masha pal mein rai ka pahaD
pak chuke hain kan sun sun kar siyasi guftugu
ghar kya baiTha hai dil mein aaj tak ek ek lafz
kya musibat ban gai do-chaar pal ki guftugu
ab koi apnae chahe mustarad kar de mujhe
main ghazal mein kar nahin paunga nangi guftugu
achchhe-KHase log uTh jate hain mahfil chhoD kar
jab kabhi hoti hai kuchh logon mein adabi guftugu
Ghazal
Ghar ho ya bahar wahi kaDwi kasili guftugu
Shahid Jamal