ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa
lekin main ye chahunga na jaane ke liye aa
ye ruKH bhi mohabbat ka dikhane ke liye aa
aa mujh se nazar pher ke jaane ke liye aa
muddat se hun main teri mulaqat ka talib
aa mujh pe koi zulm hi Dhane ke liye aa
paimanon se pite hain piyen rind-e-KHarabaat
tu mujh ko nigahon se pilane ke liye aa
arbab-e-KHirad ko hai baDa naz KHirad par
tu un ko bhi diwana banane ke liye aa
kya main tere is lutf ke qabil bhi nahin hun
ai jaan-e-wafa dil hi dukhane ke liye aa
bardasht ise ishq ki ghairat na karegi
kyun tujh se kahun main ki zamane ke liye aa

Ghazal
Ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa
Ramz Afaqi