ghar darwaze se duri par sat samundar bich
ek anjaane dushman ki hai ghat samundar bich
phir ye haarne wali aankhen jagin is dhoke mein
koi KHwab bhanwar mein aaya raat samundar bich
ab kya unche baadban par KHwab sitara chamke
aankhen rah gain sahil par aur hat samundar bich
is mausam mein kaun kahan tak diya jalae rakkhe
hawa chale to Dal se TuTe pat samundar bich
lahr se lahr mile to dekho qatre ki tanhai
dil aisi ek bund ki kya auqat samundar bich
ek kahani soch rahi hai mujh ko kaun kahe
ek jazira Dub raha hai zat samundar bich
ek safar patwar ka apna ek safar pani ka
aur musafir tanha kha gaya mat samundar bich
Ghazal
Ghar darwaze se duri par sat samundar bich
Ayub Khawar