اردو हिंदी
Ghar chhoDa be-samt hue hairani mein | Shaahi Shayari
ghar chhoDa be-samt hue hairani mein

Ghazal

Ghar chhoDa be-samt hue hairani mein

Nami Ansari

;

ghar chhoDa be-samt hue hairani mein
kaise kaise dukh jhele nadani mein

taza hawa mein us ke nafas ki KHushbu thi
qatra qatra Dub gaya main pani mein

kis ne joDa kyun joDa mazkur nahin
us ka qissa meri ram-kahani mein

chand ko aage baDhna auj pe jaana tha
tare TuTe pal pal ain jawani mein

kaisa tha wo paikar-e-KHubi kya kahiye
aaina do laKHt hua hairani mein

dil pe achanak sabt hua ta-umr raha
aisa bhi ek aks mila tha pani mein

sari ghazlen ek jaisi hi lagti hain
kya rakkha hai 'nami' jashn-e-maani mein