ghar bulata hai kabhi shauq-e-safar khinchta hai 
dauD paDta hun mujhe jo bhi jidhar khinchta hai 
is tarah khinchti hain mujh ko kisi ki aankhen 
jaise tufan mein kashti ko bhanwar khinchta hai 
kaise mumkin hai bhala chand na dekhe koi 
husn kaamil ho to phir KHud hi nazar khinchta hai 
sham Dhalte hi teri samt chala aata hun 
jaise bhaTke hue panchhi ko shajar khinchta hai 
us ke kuche se guzarne ka sabab hai tasir 
ek jhonka sa hai KHushbu ka idhar khinchta hai 
shauq ki baat hai warna suKHan aasan nahin 
ek misra bhi miyan KHun-e-jigar khinchta hai
        Ghazal
Ghar bulata hai kabhi shauq-e-safar khinchta hai
Mahmood Taseer

