اردو हिंदी
Ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai | Shaahi Shayari
ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai

Ghazal

Ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai

Ain Tabish

;

ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai
wo KHwahish-e-na-murad ab tak tamam shab mujh mein jagti hai

wo ek basti jo so gai hai udas be-nam ho gai hai
ba-harf-o-saut ab bhi chiKHti hai ba-chashm-o-lab mujh mein jagti hai

tere KHayalon ki mamlikat ke tamam asnam gir chuke hain
bas ek tamanna-e-kafirana bas ek talab mujh mein jagti hai

main us ghaDi apne aap ka samna bhi karne se bhagta hun
wo zina zina utarne wali shabih jab mujh mein jagti hai

is ek nigah mein main kab hun larzan use bhi is ki KHabar nahin hai
main KHud bhi is baat ko nahin jaanta wo kab mujh mein jagti hai