اردو हिंदी
Ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae | Shaahi Shayari
ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae

Ghazal

Ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae

Azhar Adeeb

;

ghaneri chhanw ke sapne bahut dikhae gae
sawal ye hai ki kitne shajar ugae gae

mili hai aur hi tabir aa ke manzil par
wo aur KHwab the raste mein jo dikhae gae

mere lahu se mujhe munhadim karaya gaya
dayar-e-ghair se lashkar kahan bulae gae

diye bana ke jalai thin ungliyan hum ne
andheri shab ki adalat mein hum bhi lae gae

falak pe uDte huon ko qafas mein Dala gaya
zamin pe rengne walon ko par lagae gae

hamare nam ki taKHti bhi un pe lag na saki
lahu mein gundh ke miTTi jo ghar banae gae

mile the pahle se likkhe hue adalat ko
wo faisle jo hamein baad mein sunae gae

tamam sad sitare bigaD gae 'azhar'
sulagti ret pe jab zaiche banae gae