ghane arman gaDhi aarzu karne se milta hai
KHuda jaDe ki raaton mein wuzu karne se milta hai
hawa ki dhun daraKHton ka suKHan naghme hain lekin fan
dilon ke chaak mein aankhen rafu karne se milta hai
KHuda un ko shuur-e-tishnagi deta to achchha tha
inhin pyason mein kya shaghl-e-subu karne se milta hai
yaqin duniya nahin karti magar hai tajraba mera
sukun to but-kade mein haw-hu karne se milta hai
badalte rang zaKHmon ke hain nile surKH aur kale
falak ko bhi ye gardish chaar-su karne se milta hai
ufuq par qumqumon mein qumqume zam hote jate hain
maza aankhon ka aankhen ru-ba-ru karne se milta hai
Ghazal
Ghane arman gaDhi aarzu karne se milta hai
Tafzeel Ahmad