ghaDi ghaDi na mujhe puchh ek taza sawal
udas raat ke sine pe aur bojh na Dal
khile hain phul suKHan ke jali hai sham-e-KHayal
qafas mein jhank ke dekho qafas-zadon ka kamal
usi ke zikr se hum shahr mein hue bad-nam
wo ek shaKHs ki jis se hamari bol na chaal
tere wajud pe chha kar teri nazar se gire
hamin ne raj kiya tha hamin hue kangal
bichhaD gaya na wo aaKHir adhuri baat liye
main us se kahta raha roz roz baat na Tal
sitamgari ki nai rasm DhunD li us ne
hamare samne deta hai dusron ki misal
kabhi jo baiTh gae ja ke do ghaDi us pas
'nazar'-ji! dhul gaya barson ka ji se huzn-o-malal
Ghazal
GhaDi ghaDi na mujhe puchh ek taza sawal
Prem Kumar Nazar