ghaDi-bhar aaj wo mujh se raha KHush
KHuda rakkhe use is se siwa KHush
ye main jo har tarah nashad-o-na-KHush
phir aise se rahe un ki bala KHush
kabhi KHush hai kabhi wo mujh se na-KHush
hamesha kaun duniya mein raha KHush
tumhin tum KHush to phir ke lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra KHush
tumhin-tum KHush to phir kya lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra KHush
KHushi ki mil gain do-chaar sansen
ki wo bad-ahd aaya KHush gaya KHush
jo wo baaton se KHush karne pe aate
to hote banda-e-dargah kya KHush
samajhte hain ki ye gustaKH bhi hai
zara na-KHush hain wo mujh se zara KHush
kahan tak zabt ab karta hun nala
sitamgar KHush rahe mujh se ki na-KHush
dar-e-daulat pe the lakhon bhikari
na palTa koi mahrum aur na-KHush
ilahi-baKHt tu bedar-e-baada
adu na-KHush rahin aur aashna KHush
suni hai barha meri tamanna
kiya hai us ne mujh ko barha KHush
KHushi se aaj us ne baat kar li
tabiat ho gai be-intiha KHush
karo wo kaam jo kal kaam aae
chalo wo chaal jis se ho KHuda KHush
ilahi daur-e-usmani ho daem
ki hai is ahd mein chhoTa baDa KHush
KHushi meri kisi ke hath mein hai
hua KHush jo kisi ne kar diya KHush
safi' meri KHushi-o-na-KHushi kya
rakkha jis haal mein us ne raha KHush

Ghazal
GhaDi-bhar aaj wo mujhse raha KHush
Safi Aurangabadi