gesu se ambari hai saba aur saba se hum
mahki hui hai aaj hawa aur hawa se hum
shoKHi se ek ja tujhe dam bhar nahin qarar
bechain tujh se teri ada aur ada se hum
aaraishon se kushtan-e-ashiq murad hai
hoti hai paemal hina aur hina se hum
hum se visal mein bhi hue wo na be-hijab
lipTi rahi badan se rida aur rida se hum
kis munh se hath uThaen falak ki taraf 'zahir'
mayus hai asar se dua aur dua se hum
Ghazal
Gesu se ambari hai saba aur saba se hum
Zaheer Dehlvi