gesu ruKH-e-raushan se wo Talne nahin dete
din hote hue dhup nikalne nahin dete
aanchal mein chhupa lete hain sham-e-ruKH-e-raushan
parwane to jal jaen wo jalne nahin dete
bikhra di wahin zulf zara ruKH se jo sarki
kya raat Dhale raat wo Dhalne nahin dete
kis darja hain be-dard tere hijr ke sadme
dil ko teri yaadon se bahalne nahin dete
dekha hai jise bhi wo giraate hain nazar se
chahe bhi sambhalna to sambhalne nahin dete
gulshan pe udasi ki faza dekh raha hun
wo dard ke mausam ko badalne nahin dete
be-rah na kyunkar hon bhala rah-raw-e-manzil
jab rah-numa rah pe chalne nahin dete
wo samne hote hain to hota hai ye aalam
arman machalte hain machalne nahin dete
Ghazal
Gesu ruKH-e-raushan se wo Talne nahin dete
Purnam Allahabadi