اردو हिंदी
Gesu ko tere ruKH se baham hone na denge | Shaahi Shayari
gesu ko tere ruKH se baham hone na denge

Ghazal

Gesu ko tere ruKH se baham hone na denge

Saghar Nizami

;

gesu ko tere ruKH se baham hone na denge
hum raat ko KHurshid mein zam hone na denge

ye dard to aaram-e-do-alam se siwa hai
ai dost tere dard ko kam hone na denge

mafhum badal jaega taslim-o-raza ka
ab hum sar-e-taslim ko KHam hone na denge

sarsar ko sikhaenge latafat ka qarina
phulon pe hawaon ke sitam hone na denge

ai katib-e-taqdir hamari bhi raza puchh
yun nala-e-taqdir raqam hone na denge

jab tak hai dil-e-zar mein ek qatra-e-KHun bhi
kam-martaba-e-lauh-e-o-qalam hone na denge

jo zinda o hassas buton ki hai amanat
us sajde ko hum nazr-e-haram hone na denge

uTh jaenge jun baad-e-saba bazm se teri
tujh ko bhi KHabar teri qasam hone na denge

lakhon ka sahaara hai yahi jam-e-sifalin
saghar ko kabhi saghar-e-jam hone na denge