gerwe kapDe badan par hath lohe ke kaDe
le malamat-dar sufi dar pe tere aa paDe
iKHtiyaraat-e-dayar-e-dahr hasil hon mujhe
mehr se sona-kashidon mah se chandi jhaDe
bhej de mujh ko jahan-e-hissiyat-o-lams mein
shor se uljhe samaat aankh se manzar laDe
surKH inTon ki gali tak jaen hum diwana-war
dafatan apni nigah us ke dariche par paDe
us taffun-gah sa ek aur sayyara bhi ho
peD marte hon jahan talab mein pani saDe
har masiha-e-zaman ko KHair-maqdam chahiye
taj ho kanTon ka sar par meKH hathon mein gaDe
Ghazal
Gerwe kapDe badan par hath lohe ke kaDe
Ahmad Jahangeer