ghazlon ki dhanak oDh mere shola-badan tu
hai mera suKHan tu mera mauzu-e-suKHan tu
kaliyon ki tarah phuT sar-e-shaKH-e-tamanna
KHushbu ki tarah phail chaman-ta-ba-chaman tu
nazil ho kabhi zehn pe aayat ki surat
aayat mein Dhal ja kabhi jibrail dahan tu
ab kyun na sajaun main tujhe dida o dil mein
lagta hai andhere mein sawere ki kiran tu
pahle na koi ramz-e-suKHan thi na kinaya
ab nuqta-e-takmil-e-hunar mehwar-e-fan tu
ye kam to nahin tu mera meyar-e-nazar hai
ai dost mere waste kuchh aur na ban tu
mumkin ho to rahne de mujhe zulmat-e-jaan mein
DhunDega kahan chandni raaton ka kafan tu
Ghazal
Ghazlon ki dhanak oDh mere shola-badan tu
Mohsin Naqvi