اردو हिंदी
Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge | Shaahi Shayari
ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge

Ghazal

Ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge

Bashir Badr

;

ghazlon ka hunar apni aankhon ko sikhaenge
roenge bahut lekin aansu nahin aaenge

kah dena samundar se hum os ke moti hain
dariya ki tarah tujh se milne nahin aaenge

wo dhup ke chhappar hon ya chhanw ki diwaren
ab jo bhi uThaenge mil jul ke uThaenge

jab sath na de koi aawaz hamein dena
hum phul sahi lekin patthar bhi uThaenge