اردو हिंदी
Ghazlen to kahi hain kuchh humne un se na kaha ahwal to kya | Shaahi Shayari
ghazlen to kahi hain kuchh humne un se na kaha ahwal to kya

Ghazal

Ghazlen to kahi hain kuchh humne un se na kaha ahwal to kya

Habib Jalib

;

ghazlen to kahi hain kuchh hum ne un se na kaha ahwal to kya
kal misl-e-sitara ubhrenge hain aaj agar pamal to kya

jine ki dua dene wale ye raaz tujhe malum nahin
taKHliq ka ek lamha hai bahut be-kar jiye sau sal to kya

sikkon ke ewaz jo bik jae wo meri nazar mein husn nahin
ai sham-e-shabistan-e-daulat! tu hai jo pari-timsal to kya

har phul ke lab par nam mera charcha hai chaman mein aam mera
shohrat ki ye daulat kya kam hai gar pas nahin hai mal to kya

hum ne jo kiya mahsus kaha jo dard mila hans hans ke saha
bhulega na mustaqbil hum ko nalan hai jo hum se haal to kya

hum ahl-e-mohabbat pa lenge apne hi sahaare manzil ko
yaran-e-siyasat ne har-su phailae hain rangin jal to kya

duniya-e-adab mein ai 'jalib' apni bhi koi pahchan to ho
'iqbaal' ka rang uDane se tu ban bhi gaya 'iqbaal' to kya