اردو हिंदी
Ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai | Shaahi Shayari
ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai

Ghazal

Ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai

Mohammad Ali Asar

;

ghazal-mizaj hai yaksar ghazal ka lahja hai
sarapa jaise nazakat ka istiara hai

qadam qadam pe charaghon ki sans rukti hai
ki ab to shahron mein jina azab lagta hai

jhulasti sham badalne lagi hai pairahan
tere badan ki tamazat mein sehr kaisa hai

shagufta harf-e-nawa ajnabi se lagte hain
udas lafzon se apna qadim rishta hai

na mausamon mein mahak hai na rat-jagon mein asar
tumhaare shahr ka mausam bhi kitna phika hai

chahaar-samt KHayalon ki ret bikhri hui
hamari pyas ka manzar ye reg-e-sahra hai

ab apni tishna-labi par na jaiyega 'asar'
samundaron ka muhafiz bhi aaj pyasa hai