ghazal mein jaan paDi guftugu mein phul khile
meri nawa se dayar-e-numu mein phul khile
mere hi sher uchhaale mere harifon ne
mere tufail zaban-e-adu mein phul khile
unhen ye zom ki be-sud hai sada-e-suKHan
hamein ye zid ki isi hao-hu mein phul khile
ye kis ko yaad kiya ruh ki zarurat ne
ye kis ke nam se mere lahu mein phul khile
bahaar ab ke na Thahri kisi bhi qarye mein
na bagh-e-KHwab na sahra-e-hu mein phul khile
zamin-e-kufa ko yun hi KHarab rahna tha
to kis liye ye sinan-o-gulu mein phul khile
mere junun se pas-e-dasht-e-jaan ghubar uTha
mere lahu se dar-e-ru-ba-ru mein phul khile
kabhi kamand koi mauj Dal de 'arshad'
kabhi hawa-e-sar-e-abju mein phul khile
Ghazal
Ghazal mein jaan paDi guftugu mein phul khile
Arshad Abdul Hamid