ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair
hunar mein aata nahin dil pe choT khae baghair
talash karta hua phir raha hun barson se
kahan gaya mera bachpan mujhe batae baghair
na jaane kaun si duniya mein log jite hain
KHayal-o-KHwab ki duniya koi basae baghair
kai sitare baDe bad-nasib hote hain
wo Dub jate hain palkon pe jhilmilae baghair
mujhe ghazal bhi meri dadi-man si lagti hai
nahin sulati kahani koi sunae baghair
Ghazal
Ghazal mein dard ke ehsas ko jagae baghair
Ashok Mizaj Badr