ghazal ke shanon pe KHwab-e-hasti ba-chashm-e-pur-nam Thahar gae hain
ye kis ne chheDi hai tan-e-mazi rabab-o-sargam Thahar gae hain
firaq rut mein akela manzil ki justuju mein nikal paDa hun
visal lamhon ke ham-qadam wo qadam dama-dam Thahar gae hain
abhi to socha tha teri mahfil mein hum na aaenge ab dobara
ye kis sada ka guman hua hai ki yak-ba-yak hum Thahar gae hain
wo sath jab tak rahe hamare bahaar apne shabab par thi
wo kya gae ki dil-o-nazar mein udas mausam Thahar gae hain
mohabbaton ke safir hum hain juda hai tarz-e-safar hamara
jahan bhi zikr-e-wafa mila hai wahan pe paiham Thahar gae hain
ajal ki kirnon se hum kisi pal bhi KHushk hone ke muntazir hain
bahut ghanimat hai chand lamhe jo misl-e-shabnam Thahar gae hain
prem-agni mein jhulse naina ye puchh baiThe hain aaj phir se
ki barkha rut mein sakhi bata tu kahan pe baalam Thahar gae hain
jahan pe kal tak thi chhanw 'zakir' wahin pe Thahri hai dhup ab ke
ajab sitam hai kahin pe aa kar kahin ke mausam Thahar gae hain
Ghazal
Ghazal ke shanon pe KHwab-e-hasti ba-chashm-e-pur-nam Thahar gae hain
Zakir Khan Zakir