اردو हिंदी
Ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna | Shaahi Shayari
ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna

Ghazal

Ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna

Faza Ibn e Faizi

;

ghazal ke parde mein be-parda KHwahishen likhna
na aaya hum ko barahana guzarishen likhna

tere jahan mein hun be-saya abr ki surat
mere nasib mein be-abr barishen likhna

hisab-e-dard to yun sab meri nigah mein hai
jo mujh pe ho na sakin wo nawazishen likhna

KHarashen chehre ki sine ke zaKHm sukh chale
kahan hain naKHun-e-yaran ki kawishen likhna

hum ek chaak hain jo kuza-gar ke hath mein hai
hamara kaam zamane ki gardishen likhna

ba-rah-e-rast koi farz ada nahin hota
wahi sifarishen sunna sifarishen likhna

hua na ye bhi saliqe se zindagi karte
har ek sans ko nakaam koshishen likhna

kahan wo log jo the har taraf se nastaliq
purani baat hui chust bandishen likhna

hunar-waro zara kuchh din ye turfagi bhi sahi
hamare lafzon ko mani ki laghzishen likhna

kabhi jo KHat use likhna 'faza' to rakhna yaad
meri taraf se bhi kuchh nek KHwahishen likhna