اردو हिंदी
Ghazal kahne ka kis ko Dhab raha hai | Shaahi Shayari
ghazal kahne ka kis ko Dhab raha hai

Ghazal

Ghazal kahne ka kis ko Dhab raha hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

ghazal kahne ka kis ko Dhab raha hai
wo rutba ishq ka ab kab raha hai

bashashat barg-e-gul mein hai jo itni
kisi ke lab par us ka lab raha hai

mushawwash shakl se us gul ki zahir
ye hota hai kahin wo shab raha hai

parastish hi mein shab aaKHir hui hai
hamare pas wo but jab raha hai

tumhaare ahd mein ai kafiro hae
kahan wo millat o mazhab raha hai

mera zanu tere zanu ke niche
uThun kyun-kar ki kafir dab raha hai

ise kab naz-e-bustan ki hawas hai
ye dil nit kushta-e-ghabghab raha hai

mu-e-juz 'mir' jo the fan ke ustad
yahi ek reKHta-go ab raha hai

nit us ki 'mushafi' khata hun dushnam
yahi to mera ab mansab raha hai