اردو हिंदी
Ghazal apni riwayat hai ghazal tahzib se hogi | Shaahi Shayari
ghazal apni riwayat hai ghazal tahzib se hogi

Ghazal

Ghazal apni riwayat hai ghazal tahzib se hogi

Mohammad Khalid

;

ghazal apni riwayat hai ghazal tahzib se hogi
kisi ki husn-arai kisi taqrib se hogi

baham hain bijliyan aatish sharare nau-ba-nau tufan
mere KHirman ki barbaadi baDi tarkib se hogi

ajab tarz-e-taghaful hai dikha kar aag is dil ko
wo farmate hain ye aatish-zani taKHrib se hogi

kaf-e-saiyaad dam-e-KHush-numa zanjir o zindan tak
asiri umr ki hogi magar tartib se hogi

taqaza-e-mohabbat hai ki tazin-e-gulistan ho
jo dast-e-ghair se hogi na kuchh tansib se hogi

meri diwangi par wo pasheman ho gae honge
unhen bhi to pareshani kisi tajib se hogi

mohabbat mein kisi parda-nashin se guftugu yaro
kabhi ramz o kinae se kabhi tashbib se hogi