ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya
tamam raat qayamat ka intizar kiya
kisi tarah jo na us but ne e'tibar kiya
meri wafa ne mujhe KHub sharmsar kiya
hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-bar kiya
tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya
ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazar kiya
ki dil se shor uTha hae be-qarar kiya
suna hai tegh ko qatil ne aab-dar kiya
agar ye sach hai to be-shubah hum pe war kiya
na aae rah pe wo ijz be-shumar kiya
shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya
tujhe to wada-e-didar hum se karna tha
ye kya kiya ki jahan ko umid-war kiya
ye dil ko tab kahan hai ki ho maal-andesh
unhon ne wada kiya is ne e'tibar kiya
kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim
ba tang aae to haal-e-dil aashkar kiya
taDap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain
aKHir kuchh na bani sabr iKHtiyar kiya
mile jo yar ki shoKHi se us ki bechaini
tamam raat dil-e-muztarib ko pyar kiya
bhula bhula ke jataya hai un ko raaz-e-nihan
chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkar kiya
na us ke dil se miTaya ki saf ho jata
saba ne KHak pareshan mera ghubar kiya
hum aise mahw-e-nazara na the jo hosh aata
magar tumhaare taghaful ne hoshyar kiya
hamare sine mein jo rah gai thi aatish-e-hijr
shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya
raqib o shewa-e-ulfat KHuda ki qudrat hai
wo aur ishq bhala tum ne e'tibar kiya
zaban-e-KHar se nikli sada-e-bismillah
junun ko jab sar-e-shorida par sawar kiya
teri nigah ke tasawwur mein hum ne ai qatil
laga laga ke gale se chhuri ko pyar kiya
ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein
hazar bar raqibon ko ham-kanar kiya
hua hai koi magar us ka chahne wala
ki aasman ne tera shewa iKHtiyar kiya
na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain
wo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya
jab un ko tarz-e-sitam aa gae to hosh aaya
bura ho dil ka bure waqt hoshyar kiya
fasana-e-shab-e-gham un ko ek kahani thi
kuchh e'tibar kiya kuchh na e'tibar kiya
asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi
tamam turra-e-tarrar tar tar kiya
kuchh aa gai dawar-e-mahshar se hai ummid mujhe
kuchh aap ne mere kahne ka e'tibar kiya
kisi ke ishq-e-nihan mein ye bad-gumani thi
ki Darte Darte KHuda par bhi aashkar kiya
falak se taur qayamat ke ban na paDte the
aKHir ab tujhe aashob-e-rozgar kiya
wo baat kar jo kabhi aasman se ho na sake
sitam kiya to baDa tu ne iftiKHar kiya
banega mehr-e-qayamat bhi ek KHal-e-siyah
jo chehra 'dagh'-e-siyah-ru ne aashkar kiya
Ghazal
Ghazab kiya tere wade pe etibar kiya
Dagh Dehlvi