اردو हिंदी
Ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain | Shaahi Shayari
ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain

Ghazal

Ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain

Bhartendu Harishchandra

;

ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain
abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tir chalte hain

zara dekho to ai ahl-e-suKHan zor-e-sanaat ko
nai bandish hai majnun nur ke sanche mein Dhalte hain

bura ho ishq ka ye haal hai ab teri furqat mein
ki chashm-e-KHun-chakan se laKHt-e-dil paiham nikalte hain

hila denge abhi ai sang-dil tere kaleje ko
hamari aah-e-atish-bar se patthar pighalte hain

tera ubhra hua sina jo hum ko yaad aata hai
to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain

kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere
taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain

'rasa' hajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad mein
bajae-shama yan dagh-e-jigar har waqt jalte hain