ghazab hai justuju-e-dil ka ye anjam ho jae
ki manzil dur ho aur raste mein sham ho jae
wahi nala wahi naghma bas ek tafriq-e-lafzi hai
qafas ko muntashir kar do nasheman nam ho jae
tasadduq ismat-e-kaunain us majzub-e-ulfat par
jo un ka gham chhupae aur KHud bad-nam ho jae
ye aalam ho to un ko be-hijabi ki zarurat kya
naqab uThne na pae aur jalwa aam ho jae
ye mera faisla hai aap mere ho nahin sakte
main jab jaanun ki ye jazba mera nakaam ho jae
abhi to dil mein halki si KHalish mahsus hoti hai
bahut mumkin hai kal is ka mohabbat nam ho jae
jo mera dil na ho 'sheri' harif un ki nigahon ka
to duniya bhar mein barpa inqalab-e-am ho jae
Ghazal
Ghazab hai justuju-e-dil ka ye anjam ho jae
Sheri Bhopali