ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai
nahin roke se dil rukta tabiat aa hi jati hai
bhara hai dil hamara doston ki bewafai se
kahan tak zabt baaton mein shikayat aa hi jati hai
paDega tere ji mein shak na sun ghammaz ki baaten
hazar aaina ho dil par kudurat aa hi jati hai
ye kya malum tha ye ishq saudai banega
kahin Talti hai aane wali aafat aa hi jati hai
tilai rang par kyun kar na un logon ko gharra ho
ye zar wo chehra hai KHatir mein naKHwat aa hi jati hai
junun-e-ishq mein har chand kuchh ghairat nahin lekin
jo koi tan karta hai hamiyat aa hi jati hai
ajab rudad hai apni bayan karte hain hum jis se
nikal aate hain aansu us ko riqqat aa hi jati hai
nikal jae na kyun kar shahr se majnun bayaban ko
bashar ko apni uryani se ghairat aa hi jati hai
hansi achchhi nahin dekho tamiz is mein nahin rahti
ki munh lag chalne mein bose ki naubat aa hi jati hai
lachakte hi kamar zulf-e-rasa ki jhonk lene se
asar mashuq-pan ka hai nazakat aa hi jati hai
bahut apne ko shaista wo ghairon mein banate hain
tabiat mein jo garmi hai shararat aa hi jati hai
kahan tak nek sohbat ka asar hoga na insan ko
mile tanba jo sone se to rangat aa hi jati hai
KHuda surat na dikhlae mujhe aatish-izaron ki
hazar un se hai dil ThanDa hararat aa hi jati hai
dua-e-maghfirat jab mangte hain us se ro ro kar
barabar josh mein KHaliq ki rahmat aa hi jati hai
koi mahbub us ki jaan ka sail jo hota hai
jhuka leta hai 'bahr' aankhen murawwat aa hi jati hai
Ghazal
Ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai
Imdad Ali Bahr