gaya tha bazm-e-mohabbat mein KHali jam liye
kaTi hai umr gadai ka ittiham liye
kahin hue bhi jo raushan mohabbaton ke charagh
hawaen dauD paDin wahshaton ke dam liye
tilism-e-raaz na khul jae tang-binon par
tumhaare nam se pahle hazar nam liye
bhaTak raha hun main tanhaiyon ke jangal mein
hayat raqs mein hai husn-e-subh-o-sham liye
kabhi mili thi jo ek dard-e-na-rasa ki KHalish
main ji raha hun wahi zaKHm-e-na-tamam liye
kisi ki yaad mein akasr yahi hua mahsus
falak zamin pe utra mah-e-tamam liye
mili hai gardish-e-ayyam har zamane mein
sahar umid ki aur jaan-kani ki sham liye
Ghazal
Gaya tha bazm-e-mohabbat mein Khaali jam liye
Ehtisham Husain