gaya shabab na paigham-e-wasl-e-yar aaya
jala do kaT ke is naKHl mein na bar aaya
qadam adam mein ye kah kar rakhunga ai qatil
hazar shukr ki main bar-e-sar utar aaya
misal-e-mehr wo qatil shua-e-ariz se
hazar tegh-e-qaza khinche ek bar aaya
azan di kabe mein naqus dair mein phunka
kahan kahan tujhe aashiq tera pukar aaya
teri talash mein ai mah misl-e-reg-e-rawan
na meri KHak ko baad az fana qarar aaya
phansa jo zulf mein chhuTa wo qaid-e-hasti se
riha hua jo tere dam mein shikar aaya
hamesha dekh ke majnun ko KHalq kahti thi
adam se 'barq' ki aamad hai pesh-kar aaya
Ghazal
Gaya shabab na paigham-e-wasl-e-yar aaya
Mirza Raza Barq