gaya sab andoh apne dil ka thame ab aansu qarar aaya
nasib jage sitara chamka phire din apne wo yar aaya
kaho ye saqi se aa KHudara kare na kashti-e-mai kinara
KHuda ki rahmat ne josh mara barasta abr-e-bahaar aaya
uThai kya kya na main ne zahmat magar na ki tark us ki ulfat
raha hamesha main saf tinat kabhi na dil par ghubar aaya
hua hai kya tur shoala-afshan bhaDak uThi aatish-gulistan
jalae deta hai dagh-e-hijran kahan se uD kar sharar aaya
KHuda nibahe ye aashnai hamein ye ulfat ke lag bhai
kisi din us par jo dhup aai yahan qalaq se buKHar aaya
kaTe taDapne mein zindagani na li kisi ne KHabar hamari
ye haal puchha ki arsh tak bhi hamara nala pukar aaya
khaTak hai aankhon mein meri ab tak dil us ka bhi ho raha hai dhak-dhak
na did mujh ko hui mubarak na ras us ko singar aaya
kamand-e-zulf-e-rasa se bare bache to mizhgan ne tir mare
ghazab hai pesh-e-nazar tumhaare jo koi aaya shikar aaya
bichhaya kamre mein farsh jhaT-paT durust ki sej ki sajawaT
suni jo main ne kisi ke aahaT guman guzra ki yar aaya
kabhi jo baje ki lahr aae hawas uDae wo shab bajae
fusun ke bolon pe gat banae chhalawa ban kar sitar aaya
chale jo aashiq pe tir-o-KHanzar hua wo sarsabz surKH ho kar
chaDha sar us ka agar sinan par nihaal-e-ulfat mein yar aaya
use samajhte hain jo hain ghazi ki sar kaTana hai sarfaraazi
karega kya koi ishq-bazi mein jaan bad ke bidhaar aaya
hui ye barbaad zindagani rahi na hasti ki kuchh nishani
saba ne har chand KHak chhani na hath musht-e-ghubar aaya
ye chahne wale chahte the gale ka haar apna kar ke rakhiye
diye na kis kis ne us ko dhage na dam mein wo gul-ezar aaya
visal-e-mahbub ki tamanna kisi par izhaar ki na aslan
qiran-e-sadain main ne puchha jo koi aKHtar-shumar aaya
chahak rahe hain chaman mein bulbul mahak rahe hain khule hue kul
chhalak rahe hain piyala-e-mul KHushi hai abr-e-bahaar aaya
batao ai 'bahr' apni jab ki kisi se tum ne bhi dil-lagi ki
KHush aai surat kisi pari ki kisi pe tum ko bhi pyar aaya
Ghazal
Gaya sab andoh apne dil ka thame ab aansu qarar aaya
Imdad Ali Bahr