اردو हिंदी
Gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka | Shaahi Shayari
gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka

Ghazal

Gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka

Badr-e-Alam Khalish

;

gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka
baiThe baiThe aa gai nind israr tha ye kisi KHwahish ka

chand kitaben thoDe sapne ek kamre mein rahte hain
main bhi yahan gunjaish bhar hun kis ko KHayal aaraish ka

Thahar Thahar kar kaund rahi thi bijli bahar jangal mein
train ruki to sarpaT ho gaya ghoDa waqt ki tazish ka

Tis purane zaKHmon ki thi nind uchaT gai aankhon se
bhig raha tha karwaT karwaT gosha gosha baalish ka

kisi ke dil par dastak dunga kisi ke gham ka dukhDa hun
sunne wale samajh rahe hain naghma hun farmaish ka

sar ke upar KHak uDi to sab dil tham ke baiTh gae
KHabar nahin thi guzar chuka hai mausam abr-e-nawazish ka

reng rahi thin amar-lataen chhup chhup kar shadabi mein
uryan hoti shaKHon se ab bharam khula zebaish ka

apni hi dhun mein magan rahta hai sachche sur ka sazinda
jaise ki main hun matwala KHud apne tarz-e-nigarish ka

qadam qadam hai virana kahin aur 'KHalish' ab kya jaana
warna shauq mujhe bhi kal tha sahra ki paimaish ka